Sunday 19 August 2012

He dharm sarthi
dharm yudh mein arjun se
tumne jo kha tha,
"yda yda hi dharmasya" ka vishwas
tumne jo diya tha.
hai dharm yudh
jo is yug mein to
pratiksha kyoun
hai itni badi
anginat kaurvo ke bich
ashayae manavata "draupati"
ab tak kyoun kadhi.

bas chir nhi ,pavitra chit haran
ho rha
phir bhi kyoun
sarthi tera raath nhi dikh rha.
hai kaun sa vo chakravuy
hai kaun si dhuvidha abhi
kyuon dekh ke vinas aisa
chup chap pda hai tu abhi.

badal chuki ha dhram ki
vyakhya,
dushit ho chuke hai,
geeta ke updesh sabhi.
hare ,nirash, thake,dhoomil
munio ki hai sena badi,
hain maun pitamah
bas sunaae deti hai
paap ki hasi.

ab prasna aur uttar ka samay
nhi bacha,
ek aur mhasangram ka samay hai aage khda.
ab der hogi to dosh hoga tera.
hum to bas arjun hain
duvidha se harenge ke sabhi,
ab har man hai radshetra
aur desh hai kurushetra sabhi.