Monday 10 September 2012

GAURIYA KE GHOSLAE AUR GHAR KA ROSHANDAN.


SAMAY SE HAR KE NJANE KITNE JEEV IS DRA KO CHOD CHUKE HAI AUR UNKE SAATH HI CHOD CHUKI HAI AANE WALI PIDHI KE LIYE PRAKRITI SE MILNE WALI BHOOT SI ACCHI YAADEIN UNME SE EK HAI GAURIYA AUR USKA JODA JO GHAR MEIN HI GHOSLA BNATI THI AUR HUMARI GARMIO KI CHUTIYOUN MEIN HUME EK AISA DOST MIL JATA THA JO HUMSE BINA BAAT KIYE HUMSE KHOOB ACCHI DOSTI KR LETA THA. PAR SAMAY KE PARIVARTNO NE AISE BHOOT SE RISTO KO NAKAR DIYA.




KUCH MATMAILE RANG KI ,
AUR CHOTI SI CHOCH
AISE THI GAURAYIA, 
GALE KE NICCHE THODA SA
KALE RANG KA TIKA
AISA JODA MILA THA USKO.
DONO SATH REHTE THE HAMESHA
MERE GHAR KE ROSHANDAN MEIN.

APNI CHOTI SI CHOCH MEIN
PAKAD KE VO NJANE KHA SE KUUSH KE TINKE
LAATE THE ,
AUR GHAR KE ROSHANDAN MEIN
CHOTA SA GHOSLA BNATE THE
HUM AKASAR BAIT KE UNKO
DEKHTE REHTE THE
TINKO KA DHER UNKA GHAR BAN JATA THA
AUR EK NYA JODA MEHMAN BAN JATA THA
MERE GHAR KE ROSHANDAN MEIN.

KABHI KABHI JAB
UNKE TINKE NICHE GIR JATE THE
TO HUM INTZAAR KRTE KI KAB DONO
JAAE BAHAR
PHIR KURSIYO PE CHAD KE UNKE
GHOSLE MEIN VO TINKE RAKH DETE THE
HUMARI KHUSI KA THIKANA NHI REHTA THA
SABKO BTAATE THE YE BAAT.
SARE GHAR KI SAFAI HOTI THI
JALE HTATE THE
PAR KUCH HONE NHI DETE THE GHOSLE KO JO BNA THA
MERE GHAR GHAR KE ROSHANDAN MEIN.

KABHI KABHI DAAT BHI PADTI THI
BADO SE KI TANG MAT KRO USKO
NHI TO GAHR CHOD KE CALI JAAEGI
KUCH DIN BAAD GAURIYA TINKE CHOD KE
APNI CHOCH MEIN KHANA LE KE ATI THI
VO JAISE HI GHOSLE KE PAAS PAHUCTI THI
USKE BACCHE JOR JOR SE CHI CHI KRTE THE
DONO JODE MIL KE DIN BHAR APNE BACCHO
KO KHANA KHILATE THE
AUR JAB KABHI GAURAIYA
KIDDE LEKE AATI THI
AUR VO NICCHE GIR JAATE THE
TAB MUMMY BHOOT CILLATI THI
BILLI KI NAJAR HAMESHA REHTI THI
MERE GHAR KE GHOSLE MEIN.

BACCHE BADE HO KAR
JAB UDNA SIKHTE THE
TO KABHI KABHI NICCHE GHIR JATE THE
FIR JAISE KOLAHAL SA MACH JATA THA
PURE GHAR MEIN
GAURAIYA AUR USKA JODA PURRE GAHR KO APNE
SIR PE UTHA LETE THE
AUR HUM PARESHAN HO JATE THE
DAR BHI LAGATA THA KI KHI BILLI
NA AAJAYE ,
MAN BHI BHOOT HOTA THA KI USKE BAACHON
KO UTHA KE PYAAR KREIN AUR KHELE
USKI CHOTI CHOTI ANKEIN AUR BHOOT CHOTI
SI CHOCH DEKH KR HUM BHOOT KHUSH HOTE
AUR AISA LAGTA THA JAISE
KOI ASI CHEEZ MIL GAYI HO
JO SARE KHILAUNO SE AACHI HO.

CHHUTIYA KHATAM HOTE HOTE
USKE BACCHE BADE HO JATE THE
AUR VO APNO BAACHO KE SATH
GHAR CHOD KE CALI JATI THI
HUM USKE GHOSLE KO UTTAR KE
DEKHTE THE AUR GHANTO BEHAS HOTI
KI KAISE BNAYA ITNA SUNDAR GHOSLA.

GAURAYIA KE JANE KE BAAD
GHAR JAISE UDAAS HO JATA THA
BILKUL VAISE JASE NANI KE GHAR
SE BAACHO KE CALE JANE KE BAD
USKA GHAR UDAS HO JATA HAI.

PAR AGLE SAAL
PHIR GAURAIYA AATI THI
APNE JODE KE SATH
AUR HUM SOCHT THE KI
VO VHI JODA HAI
AUR APNA PAN SA LAGTA THA
UNKE SATH.

PAR SAMAY KI TEJI NE
AISE NJANE KITNE
JODE ALAG KR DIYE YA
BNANE HI NHI DIYE
GAURAYIA SIRF CIDIYA
NHI THI
EK YUG KI SEHBHAGI THI
JAB BHARTIYA SAMAJ
MEIN JIVO KE LIYE PREM THA
AUR AASHRAY DENE KI PARAMPARA
AB KHUD GHOSLE MEIN REHNE PE VIVASH
SAMAJ APNE JEEV PREM KO APNE
KUL AUR SAMBANDHIYO TAK HI SIMIT KR CHUKA HAI.


GAURAIYA AB VILUPT HO RHI HAI
AUR VILUPT HO RHI HAI
SAMAJ KE LIYE AAVASAYK
PARAMPARAYEIN
JO JODTI THI SAMAJ AUR PRAKRITI KO
AUR SIKHATI THI PREM AUR AASHRAY KI
BHASA.










 

Sunday 19 August 2012

He dharm sarthi
dharm yudh mein arjun se
tumne jo kha tha,
"yda yda hi dharmasya" ka vishwas
tumne jo diya tha.
hai dharm yudh
jo is yug mein to
pratiksha kyoun
hai itni badi
anginat kaurvo ke bich
ashayae manavata "draupati"
ab tak kyoun kadhi.

bas chir nhi ,pavitra chit haran
ho rha
phir bhi kyoun
sarthi tera raath nhi dikh rha.
hai kaun sa vo chakravuy
hai kaun si dhuvidha abhi
kyuon dekh ke vinas aisa
chup chap pda hai tu abhi.

badal chuki ha dhram ki
vyakhya,
dushit ho chuke hai,
geeta ke updesh sabhi.
hare ,nirash, thake,dhoomil
munio ki hai sena badi,
hain maun pitamah
bas sunaae deti hai
paap ki hasi.

ab prasna aur uttar ka samay
nhi bacha,
ek aur mhasangram ka samay hai aage khda.
ab der hogi to dosh hoga tera.
hum to bas arjun hain
duvidha se harenge ke sabhi,
ab har man hai radshetra
aur desh hai kurushetra sabhi.







Saturday 23 June 2012

UMEEDO KA DAMAN

RAHO KE KADAM AUR,
KADMO KI RAHEIN,
TIKI HAIN KYUN MUJHI PE
HAR MOD KI NIGAHEIN.

ZINDAGI KI SANSE AUR,
SANSON KI ZINDAGIYAN.
HAR JEET MEIN DHIKTI HAIN,
SAIKDO KHAMIYAN.

AANSHOEN KI ULJHANE ,AUR
ULJHANO KI NAJDIKIYAN.
NAJDIKIYON KE KAFILE ,AUR 
KAFILO MEIN DOORIYAN.

BAS RUKSHATON KA MINLA ,AUR
CAHTO KA SILNA HAI
KYUN KHO GAYI HAIN
AB SARI NAJDIKIYAN.

SAMBHALNE SE DARNA,
AUR DAR DAR KE SAMBHALNA,
UF YE HAIRANIAN,
AUR HAIRANIYON KI GALIYAN.

KAB TAK SILEGA YE 
SABKO KHUD KE KISSO MEIN,
KI KISSO KI KHANIYAN ,
JUDDA HOTI NISHNIYAN.

UMMEDON KA DAMAN 
AUR DAMAN KI BEWAFAIYAN.
KUCH KAM BHI TO NHI HAIN ,
IS SHAKSH KI HUD SE RUSHWAYIA.


Tuesday 19 June 2012

PURASHKAR

VISHVA KE HAR KONE MEIN HAR KOI KISI NA KISI NA KISI SE YUDH KAR RHA HAI, YE AISE YUDH HAI JINKA ANTH NHI HAI ,YE AISE YUDH HAIN JINKA NIRNAY HONE MEIN SADIYO LAG SAKTE HAIN.YE YUDH NISCHIT TAUR PE DO VYAKTIO KE YUDH NAHI HAI.
ISILIYE IS YUDH MEIN BHAG LENE VALO KO APNA MAN MAJBOOT RKHANA HOGA AUR KUDH PE ATTOT VISHVAS KRNA HOGA .AISE YUDH MEIN AKHIRI SAMAY MEIN APNE SABSE KARIBI MITRA BHI SATH CHOD SAKTE HAIN AUR HO SAKTA HAI KI VIJAY KA MUH BHI DEKHNE KO MILE .
MAN MEIN PURASHKAR KI BHAVNA ANA TO SVABHAVIK HAI , PAR IS YUDH MEIN BHAGH LENE VALON KO SACCHE PURASHKAR KI PARIBHASA JANANA SUKHAD HOGA .

JAB RUK RHI HONGI TUMHARI SANSE,
AUR DHOMIL HO RHA HOGA 
HAR DRISHYA.
JAB TUMHARA APNA SARIR
TUMHARE APNE DONO HATH 
TUMHE CHALENGE.
AUR TUM GIRE HOGE
IS DHARA PE ASHAY.

TAB TUM NIRASH NA HONA.


TAB TUM NIRASH NA HONA,

YE SOCH KE KI 
TUMHE KOI "PURASHKAR" NHI MILA.
TUM VIJAYE NHI HUE.

O SATYA KE PRAHRI,

TUM SATRUO KI TALWARO KO
DEKH KE , YE MAT SOCHNA KI
TUMHARA SAIKDO BUNDH RAKT
VYARTH JAYEGA.
US RAKT KI SUGHANDH SE
JO EK YODHA
JANM LEGA ,AUR CHALEGA 
SATYA MARG PE 
LADEGA PAP AUR ANYAY KE ANUYAYIYO SE 
VAHI YODHA , VHI SATYA KA PRAHRI ,
TUMHARI VIJAY HOGA ,AUR TUMHARA 
"PURASHKAR" BHI.

BHARAT BHAGYA VIDHATA.

BHARAT YUVAAO KA DESH HAI, AUR ABHI KUDH BHI YUVA HAI, HAR YUVA APNE TARIKE KA BHARAT BNANA CAHTA HAI. SARI PURANI MANYTAAO AUR NIYAMO KO GALAT AUR ADHURA SABIT KRNE MEIN LGA HUA HAI, AAJ ISKE PASS VICHARO KA SAMUNDAR HAI ITNE VICHAR HAI KI NAJANE KITNE BHARAT BAN JAAE ,NYA NIRMAN ACCHI BAAT NAYE VICHARO KA HONA BHI ACCHI BAAT AKHIR ISI SE TO VIKAS HOTA HAI PAR ITNE JAYADA VICHAR VO BHI SARE AISE KI PURANI KISI BHI MANYTA KO TIKNE NHI DENA CAHTE HAIN . SATH HI SATH AAJ KE YUVA SARE BANDHANO SE MUKT HAI PAR SACH YE HAI KI SAHAS NHI HAI KISI MEIN KYOUN KI DOSH KOI LENA NHI CAHTA ....BILKUL USI TARAH JIS TARAH SWARG SAB CAHTE HAIN PAR MARNA KOI CAHTA ....KUCH AISI HI BANDAN MUKHT YUVAAO KI KAHANI HAI YE KAVITA......



TUM HI KUMHAR HO,
TUM HI MATTI,
TUM HI CHAWAR HO,
TUM HI NGHATI,
AUR TUM HI CHALK.

TUMHE HI TAYE KARNI HAI ,
APNI AKRITI
TUMHE HI TAYE KARNI HAI, 
APNI AKRITI.
TUMHE HI TAYE KARNI HAI,
APNI AVRITI. 

AAJ TUM MUKT HO 
NAI PURANE 
HATHO KI UNGLIO SE
AAJ TUM TUM MUKT HO
VICHARO KE DWAND SE 

PAR ,
TUMHE HI LENA HOGA 
DOSH APNI SARI
ASAFALTAON KA,
TUMHE HI DENA HOGA UTTAR
BAVISHYA KE VICCHARO KA.

PHIR MIL JAAEGA 
TUMHE PURA ADHIKAR ,
NIRMAN KA.

HAI AGAR ITNA SAHAS 
TO BNA LO KUDH KA
"NYA BHARAT".

Tuesday 29 May 2012

PRAKRITI SANDESH......

JAB SE MANAV SABYTA KA VIKAS HUA HAI SAYAD TABI SE HUM KISI NA KISI BAAT KO LEKAR AAPAS MEIN EK DUSRE SE LAD RHE HAIN, SAYAD AUR BHI PEHLE SE, YUN KAHEN KI JAB SE MANAV SABYTA KE SATH SABYTA SHABD JUD GYA HAI TABHI SE HUM LAD RHE HAZZARO SALO SE  BHI PURANI YE KHANI KABHI SMAPT HOGI YA NHI YE PARIKALPNA HAI .PRAKRITI HUME NAYE -NAYE UDHARNO SE PRICHIT KRATI REHTI HAI HAR BAAR USKI KOSIS YHI HOTI HAI KI EKTA MEIN JO SHAKTI HAI VO KISI AUR ASTRA YA SASTRA MEIN NHI HAI. AISE HI EK UDHARAN KI SAHAYTA SE IS SAKHTI KO BAL DENE KA PRAYAS HAI YE KAVITA............


DEKHTA HOON JAB MAI BADLO KA MILNA,
SOCHTA HOON AISE HI HO,
MANVO KA MILNA.


RANG BHED,
AKAAR PRAKAAR,
BHOOL KAR SAREE VIKAAR,
MIL KAR HO JAAYEN,
EK RANG, EK AKAAR.
AUR JAB HO ,
TADAKNA AUR GRAJNA,
TAB MIT JAAYEN,
SARE KALESH ,DVESH,PAAP AUR VEDNA.


SAB MIL KAR KREIN PREM,
AUR HO MANVTA KI CHETNA.
PHIR AISA HO BARASNA KI,
SAKKAR HO GAYE ,
"VASHUDEV KATUMBHKAM " KI "PRIKALPNA".

Sunday 27 May 2012

AKHIIRI PIDAA..

SACCHE PREM KI KYA PARIBHASA HAII ?SABKI APNI-APNI  RAI HAI ISPE .PREM MEIN PANNE KI ICCHA NHI HOTI  ,BALKI SIRF TYAG HI HOTA.......
JITNA BHI BOLO ISKE BARE MEIN KAM HAI .
AISE HI TYAGI AUR SACCHE PREMI KI BHAVNAAO KO BTATI HAI YE PANKTIYA.


KUCH BHI LIKHNA TUM,
SARI JINDAGI.
PAR,
ANTH MEIN MERA 
HI NAM LIKHNA.

CAHE JISSE BHI ,
DHOONDHNA TUM 
SARI JINDAGI.
PAR 
ANTH MEIN MERA
HI INTZAAR KRNA.

DEKHO SARI DUNIYA 
KI RANGEENIYA
PAR 
ANTH MEIN MERA
HI SADDA CHEHRA DEKHNA.

CHAHE LUTANA KHUSIYAAN,
BAANTNA HASI SABKO.
PAR
ANTH MEIN AAKHIRI PIDA
MUJHE HI DENA.

CAHE JANA JHAN BHI,
CAHE RAHNA KAHIN BHI.
PAR 
ANTH MEIN MERE PASS HI AANA.

CAHE JINA KAHIN BHI,
LAGNA GALE KISI KE BHI.
PAR
AAKHIRI SANSH MERE HI
BAHHON MEIN LENA.

CAHE LIKHNA KUCH BHI
PAR
ANTH MEIN MERA HI 
NAAM LENA.

Wednesday 23 May 2012

DESH KA PREM....

DESH AAZAD HONE KE BAAD NIT-NAYE VIKAS HUE AUR SHIKSHA KE SHETRA MEIN BHI NAYI UPLABDHIA MILI PAR MEHTVAKANSHAAON KE DAUR MEIN BHOOT SE LOGO NE VIDESH KA RUKH KIYA ,VHA JA KE KHOOB NAAM KMAYA AUR BHARAT DESH KA BHI NAAM ROSHAN KIYA.
KARAN KUCH BHI RHA HO DESH SE DOOR JANE KA PAR APNI MITTI SE LGAAO KABHI KHATAM NHI HOTA ,LAUT KE VAPAS ANAA HI PADTA HAI.
YE KAVITA APNE DESH KO CHOD KER JA CHUKE UN LOGO KI ISTHI KO SMAJHNE AUR SAMJHNE KI KOSIS HAI JO VAPAS LAUT KE  APNE DESH BAHRAT AATE HAIN....




BOOND CHALI JO GAGAN SE,
TO BADI AATUR DIKHI.
IS GALI SE US GALI,
KUCH VYAKUL LAGI.


RITU KAEE BEET GAYE,
SHARAD,BASANT,BHAAR,
BEET GAYE AB KAEE VARSH,
DOONDH LENE HAIN SARE YAAR.

HAI PATHRO PE THITHAKTI,
TO GADHO MEIN SIMATI KABHI.
SWAPN DEKHTI HAI NIT-NAYE,
PHIR CHALTI HAI THODA KHANAKTI HUE.

PAR AB MEGH RUK GAYE HAIN,
SATH CHALE HUMSAFAR CHOOT GAYE HAIN.

DHOOP SE JALNE LGA HAI,
AB BOOND KA BADAN.
PHIR KHA MILTA HAI ,
JO CHOOT JATA HAI CHAMAN.
AB REHNA HAI YHI ,
CAHE SARITA KOI MILE,
YA CHAMAN NYA KOI.

BOOND AAKHIR BOOND HAI,
MAN USKA APAAR HAI,
PHIR IS DHARA KE KAD-KAD 
MEIN BHI TO ,
USI CHAMAN SA PYAAR HAI.

Tuesday 22 May 2012

ANTAR DWAND AUR CHETNA..

YE PANKITYA US PARISTHITI KO DARSHATI HAIN JAB MANUSHYA JEEVAN KE SACCHE UDESYA KI TALASH  KE LIYE BHATKTA HAI AUR USKE MAN MEIN EK SATH SAIKDO PRASN HOTE HAIN PAR USKE PASS KISI EK KA BHI UTTAR NHI HOTA ,IS PARISTHITI MEIN USE SIRF EK HI PUJYA AUR EK HI MARG DARSHAK SUJHTA HAI PAR VO US PARAM PUJYA AUR PARAM SAKTISALLI PRABHU SE APNE BICCHOH AUR SAMBAND KO LEKHAR UHA-POH KI PARSITHITI MEIN IS TARAH ULLJHA HOTA HAI KI USSE SIRF ANDHKAR HI DIKTA HAI ,BHATKAV HI DIKTEIN HAIN AUR PRASN HI HOTE HAIN KOI UTTAR NHI.........PAR IN PRASNO MEIN VO KUDH KO TATOLTA HAI AUR SAYAD YHEEN SE USSE APNE PRASNO KA UTTAR BHI MIL JATA HAI...........


MACHNE DO SHOOR
ITNA KI KHUD KI AAWAAZ BHI 
NA SUNAAE DE,
PHIR DEKHOO 
KYA SUNAAE DETI HAI ,
VO  AAWAAZ JO,
KABHI SUNI NHI MAINE.

MUJHE PARKHNA HAI,
KHUD KO 
APNI TPSYA KO.

HO JANE DO SNNAATA
ITNA GEHRA,
ITNA TIVRE KI,
SAMUNDER BHI GHABRA JAYE.
PHIR DEKHO 
KYA SUNAAE DETA HAI ,
VO MAUN
JO MEHSOOS NHI KIYA KABHI.

MUJHE PARKHNA HAI,
KHUD KO 
APNE TYAAG KO.

MUJHE DHOONDHNI HAI,
VO KAMI.
MUJHE DOONDHANI HAI,
VO CHOOK.
JISNE DOOR KAR DIYA MUJHE
MERE PREM SE,
MERE JEEVAN UPHAR SE.

DOOB JANE DO MUJHE
DUNIYA KE SARE RASO MEIN
ITNA GEHRE KI ,PHIR
LAUT KE AANA SAKOO.
PHIR DEKHOON KYA 
DIKHAEE DETI HAI 
MUJHE USKE AANKHO KI GEHRAAE
JINKE RANG BHI NHI
MALOOM MUJHE.

MUJHE PARKHNA HAI 
KHUD KO 
MUJHE DOONDHNA HAI 
US BHOOL KO
JISNE DOOR KAR DIYA ,MUJHE
MERE PREM SE ,
MERE JEEVAN UPHAR SE.

DOOR HO JANE DO 
HAR KHUSI ,
TOOT JANE DO 
DUKHO KA PHAAD,
MIIT JANE DO 
HAR ASHA.
CHA JANE DO NIRASHA.
MIT JANE JEEVAN MOH.
PHIR DEKHO KYA
DIKHTI VO KHUSI KI ABHA,
JISKO DEKHA NAHI KABHI.

MUJHE PARAKNA HAI 
MAN KE ANDHERO KO,
JISME JALTI HAI 
PREM JOTE, 
BIN TEL
BIN BATTI.

KRNE DO MUJHE SARE PAAP,
TOOT JANE DO SARE BANDHAN ,
BHANG HO JANE DO SAREE MARYADA.
PHIR DEKHO KYA 
KOI DOOR 
PHIR BHI KICHTI HAI,
JO BANDHI NHI KABHI. 
KYA KOI RISTA ROKTA HAI,
JO BNA NHI KABHI.

MUJHE PARKHNA HAI
PRABHO PREMI KE SAMBANDH KO,
MUJHE PUCHNA HAI,
BAS EK PRASHNA ,
KYOUN NHI MILA MUJHE ,
MERA PREM,
MERA JEEVAN UPHAR.

Monday 21 May 2012

AAKIRI PADAAV....

KITNA BHI BHAG LE YE MAN, KITNI BHI DOOB JAYE YE  DUNIYA  JIMMEDARIO MEIN PAR SABKO US AAKHIRI PADAAV PE SAB CHODNA HI PADTA HAI AUR IS AAKHIRI SAFAR MEIN JO LOG SATH CHALTEIN HAIN US PARMATMA VILEEN JYOTI KE LIYE, UNHE EK HI PAL MEIN IS SANSAR KE SABHI RASO KE DARSHAN HO JATEIN HAI.....

IN PANKTIYO  KO PADTE SAMAY AGAR HUM US DRISYA KO APNI MAN KI ANKO SE DEKHNE KA PRAYAS KREINGE TO SAYAD HUM US AAKIRI SAFAR KE SATHI BNE BGAIR USKA ANUBHAV KR SAKENGE.....


TEJ DHOOP THI ,CHIL-CHILATI,
HAR TARAF SHOR-SHOR.
GAADIO KI CHIL-PO
HAR TARAF BHAGAM-BHAG.
CHAI KI BHATTHIO SE UTHTA DHUA,
DHAM GHOTU.
PASINE SE LATH-PATH SAREER,
BHADDE KAPDE, HEEN AKANSHAYEIN.
ADHUMIKTA KI DHEN.

KHA AA GAYE HAIN HUM.

SOCH RHA THA MAIN,
KHADE -KHADE, EK PED KE NICHE BUS STAND PE.

KI TABHI 
KUHU-KUHU, KUHU-KUHU....
KOYAL BOLI AAM KE PED SE

SEHNAAE AUR DHOL KI AAVAJ BHI AANE LAGI,
KISI KI SHADI THI SAYAD,
GHODE PE DHULA BAITA THA
AUR  KISI CAR MEIN DULHEN.
TABHI BADAL GHIR AAYE
BARISH HONE LAGI.
AISA LGA JAISE ,
SAB DHUL GYA HO.
SARE BARATI CHUP GAYE.

USSI PED KE NICCHE-----

RAM NAAM SATYA HAI ,
RAM NAAM SATYA HAI,

JEEVAN KA AAKHIRI AUR ,
EK-MATRA STAYA 
EK -MATRA ISTHIR PADAV.

SAB SUN RHE THE 
MAI BHI.
MUJHE LGA JAISE ,
HUM LAUT AAYE. 

NAYEE SURUVAAT

HUM APNE JEEVAN KAI LAKSHYA NIRDHARIT KRTE HAIN HAR BAAR TO SAFLTA NHI MILTI PAR JAB BHI MILTI HAI TO HUM PHIR EK AUR NYA LAKSHYA NIRDHARIT KR LETE HAIN AUR JEEVAN ISI TARAH CHALTA HAIN HAR BAAR KISI LAKSHYA KO PURA KRNE MEIN HUME KAI ANUBHAV HOTE HAIN PAR HAR NAYE LAKSHYA KE LIYE HUM NAYE HOTE HAIN US LAKSHYA TAK PAHUCNE KE RASTE HUME NHI PTA HOTEIN , PAR PURANE ANUBHAV KAAM ATEIN HAIN KUCH AISE PARISTHITHI KE BARE MEIN HAI YE KAVITA....................

AAJ MAINE AKASH KO 
UPAR DHAKEL DIYA HAI.
APNE LAKSHYA KO 
AUR BDA KR DIYA HAI,
AB BADH GAI HAI
DOORI,
APNE DAINO KO FHAILA KE
SAARE ARJIT ANUBHAVO KO
SAMET KR, FHIR SE
UDNA SIKH RHA HOON.

HAI PEHLE SE JYADA 

SAKTI AUR SAHAS 
AUR UMMANG MUJHMEIN.
HAI NISCHAY KA BAL 
AUR KHUSSI KI TARANG MUJHMEIN,
TAP CHUKA HOON ITNA 
KI SOORAJ KI HAR KIRAN KO
ALAG ALAG PEHCHANTA HOON.

PAR PATA HAI MUJHE 

HAR LAKSHAY ALAG HAI,
HAR LAKSHYA KI TARAH
ISKI BHI ALAG LALAK HAI,
BHATKAYE KA YE BHI MUJHE,
PARKHEGA APNI TARAH.

ISILIYE ANJAN HOON ,

IS BAAR BHI RASTOON SE,
EK BAAR FHIR SE 
MAI SHISHU BAN GYA HOON.

Sunday 20 May 2012

NYA DAUR.....

"HUMMARE POLITICIANS IS DESH KO BECH RHE HAIN" YE AJJKAL HAR PADE LIKHE ,ANPAD ,AMIR ,GARIB BACCHE ,BUDE SABKI JUBAN PE HAI......GAUR KRNE WALI BAAT YE HAI KI POLITICIANS GINTI KE HAIN AUR IS DESH KI BAKI ABADI ROJ BAD RHI HAI AGAR YE ABADI JO KI POLITICS NHI KRTI SAFF PAK HAI DESH BAKHT HAI TO PHIR KAISE KUCH GINTI KE LOG "DESH BECH" SAKTE HAIN , AGAR GAUR KREIN TO SACHAE SAYAD KUCH AISI HAI KI YHA SAB ZAMINDAR HAIN SABKO APNI ZAMINO KI PADI HAI LALACH BHRA HAI SABKE MAN MEIN HAAN KEHNE KE LIYE TO DESH BAKHTI IS KADAR BHARI HAI KI AGAR KOI HUMARI DESHBAKTI PAR SWAAL UTTHAE TO SAYAD DANGE HO JAYEIN PAR SAACHE ISKE ULAT HAI...........




KYA DESH ,KYA MULK,
KHA KURBANIA AB WO RHI HAIN,
KHA KOI DESHBAKT 
JWANIA AB RHI HAIN,
MIT JAAE WATAN PE JO,
VO KHANIYA AB NHI HAIN.


MULK MEIN DEEWAR , AUR
BAS DEEWARO KA MULK BAKHI HAI,
BIGHO BISSO MEIN JAZBAAT BAS BAKI HAI.

SARHDO KO PATNE CHLA THA ,
"YE DAUR"
ISKI MAUKA PARASTI MEIN,
SARHADO KA NA KOI BAKI HAI.

KYA SUTI, KYA KHADI,
KYA POSAKH, KYA KHAKI.
IN NAYE DAUR KE SIPAHIYO KO
BAATNA MUSKIL HAI.
NAAM KE YE LIBAS HAIN,
AUR BAS LIBASO KE NAAM BAKI HAIN.

TATOLTA HAI KOI MULK TO,
SIKKO KI BAS JUBAN HAI.
HAR LAFZ MEIN INKI YE MULK BAS
EK DUKAN HAI.

KYA GARIB , KYA AMIR 
SAB YHAAN ZAMINDAAR HAIN,
HATHELIYO PE INKE
SAIKDO KATLOON  KE 
HAZARON NISHAN HAIN.




SAGAR KI KAHANI.....

KAI BAAR AISA HOTA HAI KI BHAGWAN HUME PARKHNE KE LIYE KUCH AISE UPHAAR DETA HAI JISKI HUME UMMED BHI NHI HOTI , AUR HUM IS ABHIMAN MEIN KI AB HUMSE JAYADA BHAGYSHALI AUR BHAGWAN KA PRIY KOI NHI HAI, HUM US UPHAR KO VYARTH AUR ANOOPAYOGI SAMJHNE LAGTE HAI AUR ABHIMAN MEIN AAKAR USKA MAHETVA BHOOL JAATE HAIN AUR FIR AAKHIR MEIN HAMARE PASS PACHTANE KE ALAWA KUCH  BAKI NHI REHTA..........AISE HI UPHAR AUR ABHIAMN KI KHANI HAI YE...........



BARASAT HO RHI  HAI ,AUR
SGAR UDAS HAI, AB 
NHI AATI KOI MEHBOOBA NDI(RIVER)
MILNE.

YHI VO DIN THE JAB,
MILE THE DO DIL ,UFFANTE ,
GARAJTE BAADLO KE MAUSAM MEIN,
AAE THI MEHBOOBA NDI,
LEHRO MEIN SAMATE ANJAN 
PREMI KE LIYE MEHKATI 
SAUGATEIN.

UMMANGO SE BHARI NDI KO
BHA GYA THA SAGAR KA KHARA PAN,
AUR KHO GAYI VO,
SAGAR KE GEHRE PREM MEIN,
BHAR DIYA SAGAR KO PHADO SE LAAE 
KHOOBSOORTI AUR KHUSBOO SE.

SAGAR BHI NDI KE PREM MEIN,
BEKAABO HO GYA,
APNI LEHRO SE CHUNE LGA CHAND KO 
AUR SAMETNE LGA DHARTI KO.
PHIR,
EK DIN,
HO GYA ITNA VISHAL KI ,
BHOOL GYA NADI KE PREM KO,
IS ABHIMAN MEIN.

APNA SARVASV SMARAPIT KR CHUKI NDI
UDAS HO
GAYI
ROTE ROTE USKE AANSOO SUKH GAYE
AUR USKI LEHRE
SAANT HO GAYI.

FHIR,
EK DIN,
JAB BADAL CHUP THE ,AUR
DHOOP TEJ
NDI LAUT GAYI 
APNE DESH.

AB SAGAR
AKELA REHTA HAI,
SIMAT KE APNE DAYRE MEIN.
USE BHI EHSAS HAI APNI BEROOKHI KA .
ISILIYE SAANT LEHRO KE SATH
INTEZAAR KRTA HAI MEHBOOBA
NDI KA.........

Saturday 19 May 2012

SAMAY KA SANDESH.....

BHOOT BAAR AISA HOTA HAI KI HUM MUSIBATO SE GHIRE HOTE HAIN AUR HUME RASTE NHI MILTE ISKA EK KARAN YE BHI HOTA HAI KI HUME AADAT NHI HOTI MUSIBATO SE LADNE KI KYOUN KI HAR BAAR HUME KISI NA KISI KA SHAARA MIL JATA HAI AUR JAB HUME KISI KA SHAARA NHI MILTA HAI TO YE SAMAJHNA CAHIYE KI  AB HAMARI BARI HAI DOOSRE KE LIYE LADNE KI DOOSRO KO RASTA  DIKHANE KI KUCH ISI TARAH KE VEECHAR IS KAVITA MEIN HAIN...............




MIL GYA VANVAS AGAR TO ,
RAM BANKAR DIKHA,
LAKSHA GRIH ME TAP KAR,
KHUD KO SONA BANA.


MILTA HAI JITNA BHI DHUK,
SANTAP AUR VIYOG,
YE SAB HAIN TUJHE MAHAN BANANE KE SANYOG,
BAS INKO BHI TU HARSH,
VIJAY AUR PREM KI TARAH GALE  LGA.


BUJH GAYE DEEPAK AGAR,
HO GAYE ANDHERA GHNA,
TO BAND KARLE AANKH BHI,
AUR MAN KE DEEPAK JLA.


BHOOT SUNA , PADHA,GAYA,
VIRO KI GATHA SDA,
AB SASTRA UTHA AUR ,
VEER BAN KE DIKHA.


KHOOB MILA HAI SAHARA TUJHE 
AUR MILI DYA SDA,
AB BARI HAI TERI ,
DAUD KE AAGE AA.


CHAYA BAN DOOKH HAR ,
SIKH VRICHO SE ZRA,
CAHE KITNI BAR BHI RAAT HO,
SOORAJ KI TARAH BAR- BAR UG K DIKHA.
LGA LE GALE SABKO
JOSH SE BHAR DE HAR JAGAH,
AB TU HI TU HAI HAR TARAF,
AASMA KI TARAH CHA K DIKHA.