Tuesday 22 May 2012

ANTAR DWAND AUR CHETNA..

YE PANKITYA US PARISTHITI KO DARSHATI HAIN JAB MANUSHYA JEEVAN KE SACCHE UDESYA KI TALASH  KE LIYE BHATKTA HAI AUR USKE MAN MEIN EK SATH SAIKDO PRASN HOTE HAIN PAR USKE PASS KISI EK KA BHI UTTAR NHI HOTA ,IS PARISTHITI MEIN USE SIRF EK HI PUJYA AUR EK HI MARG DARSHAK SUJHTA HAI PAR VO US PARAM PUJYA AUR PARAM SAKTISALLI PRABHU SE APNE BICCHOH AUR SAMBAND KO LEKHAR UHA-POH KI PARSITHITI MEIN IS TARAH ULLJHA HOTA HAI KI USSE SIRF ANDHKAR HI DIKTA HAI ,BHATKAV HI DIKTEIN HAIN AUR PRASN HI HOTE HAIN KOI UTTAR NHI.........PAR IN PRASNO MEIN VO KUDH KO TATOLTA HAI AUR SAYAD YHEEN SE USSE APNE PRASNO KA UTTAR BHI MIL JATA HAI...........


MACHNE DO SHOOR
ITNA KI KHUD KI AAWAAZ BHI 
NA SUNAAE DE,
PHIR DEKHOO 
KYA SUNAAE DETI HAI ,
VO  AAWAAZ JO,
KABHI SUNI NHI MAINE.

MUJHE PARKHNA HAI,
KHUD KO 
APNI TPSYA KO.

HO JANE DO SNNAATA
ITNA GEHRA,
ITNA TIVRE KI,
SAMUNDER BHI GHABRA JAYE.
PHIR DEKHO 
KYA SUNAAE DETA HAI ,
VO MAUN
JO MEHSOOS NHI KIYA KABHI.

MUJHE PARKHNA HAI,
KHUD KO 
APNE TYAAG KO.

MUJHE DHOONDHNI HAI,
VO KAMI.
MUJHE DOONDHANI HAI,
VO CHOOK.
JISNE DOOR KAR DIYA MUJHE
MERE PREM SE,
MERE JEEVAN UPHAR SE.

DOOB JANE DO MUJHE
DUNIYA KE SARE RASO MEIN
ITNA GEHRE KI ,PHIR
LAUT KE AANA SAKOO.
PHIR DEKHOON KYA 
DIKHAEE DETI HAI 
MUJHE USKE AANKHO KI GEHRAAE
JINKE RANG BHI NHI
MALOOM MUJHE.

MUJHE PARKHNA HAI 
KHUD KO 
MUJHE DOONDHNA HAI 
US BHOOL KO
JISNE DOOR KAR DIYA ,MUJHE
MERE PREM SE ,
MERE JEEVAN UPHAR SE.

DOOR HO JANE DO 
HAR KHUSI ,
TOOT JANE DO 
DUKHO KA PHAAD,
MIIT JANE DO 
HAR ASHA.
CHA JANE DO NIRASHA.
MIT JANE JEEVAN MOH.
PHIR DEKHO KYA
DIKHTI VO KHUSI KI ABHA,
JISKO DEKHA NAHI KABHI.

MUJHE PARAKNA HAI 
MAN KE ANDHERO KO,
JISME JALTI HAI 
PREM JOTE, 
BIN TEL
BIN BATTI.

KRNE DO MUJHE SARE PAAP,
TOOT JANE DO SARE BANDHAN ,
BHANG HO JANE DO SAREE MARYADA.
PHIR DEKHO KYA 
KOI DOOR 
PHIR BHI KICHTI HAI,
JO BANDHI NHI KABHI. 
KYA KOI RISTA ROKTA HAI,
JO BNA NHI KABHI.

MUJHE PARKHNA HAI
PRABHO PREMI KE SAMBANDH KO,
MUJHE PUCHNA HAI,
BAS EK PRASHNA ,
KYOUN NHI MILA MUJHE ,
MERA PREM,
MERA JEEVAN UPHAR.

2 comments: