Sunday 20 May 2012

NYA DAUR.....

"HUMMARE POLITICIANS IS DESH KO BECH RHE HAIN" YE AJJKAL HAR PADE LIKHE ,ANPAD ,AMIR ,GARIB BACCHE ,BUDE SABKI JUBAN PE HAI......GAUR KRNE WALI BAAT YE HAI KI POLITICIANS GINTI KE HAIN AUR IS DESH KI BAKI ABADI ROJ BAD RHI HAI AGAR YE ABADI JO KI POLITICS NHI KRTI SAFF PAK HAI DESH BAKHT HAI TO PHIR KAISE KUCH GINTI KE LOG "DESH BECH" SAKTE HAIN , AGAR GAUR KREIN TO SACHAE SAYAD KUCH AISI HAI KI YHA SAB ZAMINDAR HAIN SABKO APNI ZAMINO KI PADI HAI LALACH BHRA HAI SABKE MAN MEIN HAAN KEHNE KE LIYE TO DESH BAKHTI IS KADAR BHARI HAI KI AGAR KOI HUMARI DESHBAKTI PAR SWAAL UTTHAE TO SAYAD DANGE HO JAYEIN PAR SAACHE ISKE ULAT HAI...........




KYA DESH ,KYA MULK,
KHA KURBANIA AB WO RHI HAIN,
KHA KOI DESHBAKT 
JWANIA AB RHI HAIN,
MIT JAAE WATAN PE JO,
VO KHANIYA AB NHI HAIN.


MULK MEIN DEEWAR , AUR
BAS DEEWARO KA MULK BAKHI HAI,
BIGHO BISSO MEIN JAZBAAT BAS BAKI HAI.

SARHDO KO PATNE CHLA THA ,
"YE DAUR"
ISKI MAUKA PARASTI MEIN,
SARHADO KA NA KOI BAKI HAI.

KYA SUTI, KYA KHADI,
KYA POSAKH, KYA KHAKI.
IN NAYE DAUR KE SIPAHIYO KO
BAATNA MUSKIL HAI.
NAAM KE YE LIBAS HAIN,
AUR BAS LIBASO KE NAAM BAKI HAIN.

TATOLTA HAI KOI MULK TO,
SIKKO KI BAS JUBAN HAI.
HAR LAFZ MEIN INKI YE MULK BAS
EK DUKAN HAI.

KYA GARIB , KYA AMIR 
SAB YHAAN ZAMINDAAR HAIN,
HATHELIYO PE INKE
SAIKDO KATLOON  KE 
HAZARON NISHAN HAIN.




2 comments:

  1. wah bhai wah kya baat hai,,,kya likhte ho kya dikhte ho kya gate ho tum to hu bahu rahul baba ho gaye ho,,,,,apni script khud likhte ho,,,,,

    ReplyDelete