Saturday 19 May 2012

SAMAY KA SANDESH.....

BHOOT BAAR AISA HOTA HAI KI HUM MUSIBATO SE GHIRE HOTE HAIN AUR HUME RASTE NHI MILTE ISKA EK KARAN YE BHI HOTA HAI KI HUME AADAT NHI HOTI MUSIBATO SE LADNE KI KYOUN KI HAR BAAR HUME KISI NA KISI KA SHAARA MIL JATA HAI AUR JAB HUME KISI KA SHAARA NHI MILTA HAI TO YE SAMAJHNA CAHIYE KI  AB HAMARI BARI HAI DOOSRE KE LIYE LADNE KI DOOSRO KO RASTA  DIKHANE KI KUCH ISI TARAH KE VEECHAR IS KAVITA MEIN HAIN...............




MIL GYA VANVAS AGAR TO ,
RAM BANKAR DIKHA,
LAKSHA GRIH ME TAP KAR,
KHUD KO SONA BANA.


MILTA HAI JITNA BHI DHUK,
SANTAP AUR VIYOG,
YE SAB HAIN TUJHE MAHAN BANANE KE SANYOG,
BAS INKO BHI TU HARSH,
VIJAY AUR PREM KI TARAH GALE  LGA.


BUJH GAYE DEEPAK AGAR,
HO GAYE ANDHERA GHNA,
TO BAND KARLE AANKH BHI,
AUR MAN KE DEEPAK JLA.


BHOOT SUNA , PADHA,GAYA,
VIRO KI GATHA SDA,
AB SASTRA UTHA AUR ,
VEER BAN KE DIKHA.


KHOOB MILA HAI SAHARA TUJHE 
AUR MILI DYA SDA,
AB BARI HAI TERI ,
DAUD KE AAGE AA.


CHAYA BAN DOOKH HAR ,
SIKH VRICHO SE ZRA,
CAHE KITNI BAR BHI RAAT HO,
SOORAJ KI TARAH BAR- BAR UG K DIKHA.
LGA LE GALE SABKO
JOSH SE BHAR DE HAR JAGAH,
AB TU HI TU HAI HAR TARAF,
AASMA KI TARAH CHA K DIKHA. 



4 comments:

  1. nice one...really a motivating poem.

    ReplyDelete
  2. ab management k course mei yahi poem padhai jaye gi.

    ReplyDelete
  3. management ke liye doosra address ahi where iam k naam se...ye ere core ki pehchan hai.

    ReplyDelete