Monday 21 May 2012

NAYEE SURUVAAT

HUM APNE JEEVAN KAI LAKSHYA NIRDHARIT KRTE HAIN HAR BAAR TO SAFLTA NHI MILTI PAR JAB BHI MILTI HAI TO HUM PHIR EK AUR NYA LAKSHYA NIRDHARIT KR LETE HAIN AUR JEEVAN ISI TARAH CHALTA HAIN HAR BAAR KISI LAKSHYA KO PURA KRNE MEIN HUME KAI ANUBHAV HOTE HAIN PAR HAR NAYE LAKSHYA KE LIYE HUM NAYE HOTE HAIN US LAKSHYA TAK PAHUCNE KE RASTE HUME NHI PTA HOTEIN , PAR PURANE ANUBHAV KAAM ATEIN HAIN KUCH AISE PARISTHITHI KE BARE MEIN HAI YE KAVITA....................

AAJ MAINE AKASH KO 
UPAR DHAKEL DIYA HAI.
APNE LAKSHYA KO 
AUR BDA KR DIYA HAI,
AB BADH GAI HAI
DOORI,
APNE DAINO KO FHAILA KE
SAARE ARJIT ANUBHAVO KO
SAMET KR, FHIR SE
UDNA SIKH RHA HOON.

HAI PEHLE SE JYADA 

SAKTI AUR SAHAS 
AUR UMMANG MUJHMEIN.
HAI NISCHAY KA BAL 
AUR KHUSSI KI TARANG MUJHMEIN,
TAP CHUKA HOON ITNA 
KI SOORAJ KI HAR KIRAN KO
ALAG ALAG PEHCHANTA HOON.

PAR PATA HAI MUJHE 

HAR LAKSHAY ALAG HAI,
HAR LAKSHYA KI TARAH
ISKI BHI ALAG LALAK HAI,
BHATKAYE KA YE BHI MUJHE,
PARKHEGA APNI TARAH.

ISILIYE ANJAN HOON ,

IS BAAR BHI RASTOON SE,
EK BAAR FHIR SE 
MAI SHISHU BAN GYA HOON.

1 comment: