Tuesday 29 May 2012

PRAKRITI SANDESH......

JAB SE MANAV SABYTA KA VIKAS HUA HAI SAYAD TABI SE HUM KISI NA KISI BAAT KO LEKAR AAPAS MEIN EK DUSRE SE LAD RHE HAIN, SAYAD AUR BHI PEHLE SE, YUN KAHEN KI JAB SE MANAV SABYTA KE SATH SABYTA SHABD JUD GYA HAI TABHI SE HUM LAD RHE HAZZARO SALO SE  BHI PURANI YE KHANI KABHI SMAPT HOGI YA NHI YE PARIKALPNA HAI .PRAKRITI HUME NAYE -NAYE UDHARNO SE PRICHIT KRATI REHTI HAI HAR BAAR USKI KOSIS YHI HOTI HAI KI EKTA MEIN JO SHAKTI HAI VO KISI AUR ASTRA YA SASTRA MEIN NHI HAI. AISE HI EK UDHARAN KI SAHAYTA SE IS SAKHTI KO BAL DENE KA PRAYAS HAI YE KAVITA............


DEKHTA HOON JAB MAI BADLO KA MILNA,
SOCHTA HOON AISE HI HO,
MANVO KA MILNA.


RANG BHED,
AKAAR PRAKAAR,
BHOOL KAR SAREE VIKAAR,
MIL KAR HO JAAYEN,
EK RANG, EK AKAAR.
AUR JAB HO ,
TADAKNA AUR GRAJNA,
TAB MIT JAAYEN,
SARE KALESH ,DVESH,PAAP AUR VEDNA.


SAB MIL KAR KREIN PREM,
AUR HO MANVTA KI CHETNA.
PHIR AISA HO BARASNA KI,
SAKKAR HO GAYE ,
"VASHUDEV KATUMBHKAM " KI "PRIKALPNA".

Sunday 27 May 2012

AKHIIRI PIDAA..

SACCHE PREM KI KYA PARIBHASA HAII ?SABKI APNI-APNI  RAI HAI ISPE .PREM MEIN PANNE KI ICCHA NHI HOTI  ,BALKI SIRF TYAG HI HOTA.......
JITNA BHI BOLO ISKE BARE MEIN KAM HAI .
AISE HI TYAGI AUR SACCHE PREMI KI BHAVNAAO KO BTATI HAI YE PANKTIYA.


KUCH BHI LIKHNA TUM,
SARI JINDAGI.
PAR,
ANTH MEIN MERA 
HI NAM LIKHNA.

CAHE JISSE BHI ,
DHOONDHNA TUM 
SARI JINDAGI.
PAR 
ANTH MEIN MERA
HI INTZAAR KRNA.

DEKHO SARI DUNIYA 
KI RANGEENIYA
PAR 
ANTH MEIN MERA
HI SADDA CHEHRA DEKHNA.

CHAHE LUTANA KHUSIYAAN,
BAANTNA HASI SABKO.
PAR
ANTH MEIN AAKHIRI PIDA
MUJHE HI DENA.

CAHE JANA JHAN BHI,
CAHE RAHNA KAHIN BHI.
PAR 
ANTH MEIN MERE PASS HI AANA.

CAHE JINA KAHIN BHI,
LAGNA GALE KISI KE BHI.
PAR
AAKHIRI SANSH MERE HI
BAHHON MEIN LENA.

CAHE LIKHNA KUCH BHI
PAR
ANTH MEIN MERA HI 
NAAM LENA.

Wednesday 23 May 2012

DESH KA PREM....

DESH AAZAD HONE KE BAAD NIT-NAYE VIKAS HUE AUR SHIKSHA KE SHETRA MEIN BHI NAYI UPLABDHIA MILI PAR MEHTVAKANSHAAON KE DAUR MEIN BHOOT SE LOGO NE VIDESH KA RUKH KIYA ,VHA JA KE KHOOB NAAM KMAYA AUR BHARAT DESH KA BHI NAAM ROSHAN KIYA.
KARAN KUCH BHI RHA HO DESH SE DOOR JANE KA PAR APNI MITTI SE LGAAO KABHI KHATAM NHI HOTA ,LAUT KE VAPAS ANAA HI PADTA HAI.
YE KAVITA APNE DESH KO CHOD KER JA CHUKE UN LOGO KI ISTHI KO SMAJHNE AUR SAMJHNE KI KOSIS HAI JO VAPAS LAUT KE  APNE DESH BAHRAT AATE HAIN....




BOOND CHALI JO GAGAN SE,
TO BADI AATUR DIKHI.
IS GALI SE US GALI,
KUCH VYAKUL LAGI.


RITU KAEE BEET GAYE,
SHARAD,BASANT,BHAAR,
BEET GAYE AB KAEE VARSH,
DOONDH LENE HAIN SARE YAAR.

HAI PATHRO PE THITHAKTI,
TO GADHO MEIN SIMATI KABHI.
SWAPN DEKHTI HAI NIT-NAYE,
PHIR CHALTI HAI THODA KHANAKTI HUE.

PAR AB MEGH RUK GAYE HAIN,
SATH CHALE HUMSAFAR CHOOT GAYE HAIN.

DHOOP SE JALNE LGA HAI,
AB BOOND KA BADAN.
PHIR KHA MILTA HAI ,
JO CHOOT JATA HAI CHAMAN.
AB REHNA HAI YHI ,
CAHE SARITA KOI MILE,
YA CHAMAN NYA KOI.

BOOND AAKHIR BOOND HAI,
MAN USKA APAAR HAI,
PHIR IS DHARA KE KAD-KAD 
MEIN BHI TO ,
USI CHAMAN SA PYAAR HAI.

Tuesday 22 May 2012

ANTAR DWAND AUR CHETNA..

YE PANKITYA US PARISTHITI KO DARSHATI HAIN JAB MANUSHYA JEEVAN KE SACCHE UDESYA KI TALASH  KE LIYE BHATKTA HAI AUR USKE MAN MEIN EK SATH SAIKDO PRASN HOTE HAIN PAR USKE PASS KISI EK KA BHI UTTAR NHI HOTA ,IS PARISTHITI MEIN USE SIRF EK HI PUJYA AUR EK HI MARG DARSHAK SUJHTA HAI PAR VO US PARAM PUJYA AUR PARAM SAKTISALLI PRABHU SE APNE BICCHOH AUR SAMBAND KO LEKHAR UHA-POH KI PARSITHITI MEIN IS TARAH ULLJHA HOTA HAI KI USSE SIRF ANDHKAR HI DIKTA HAI ,BHATKAV HI DIKTEIN HAIN AUR PRASN HI HOTE HAIN KOI UTTAR NHI.........PAR IN PRASNO MEIN VO KUDH KO TATOLTA HAI AUR SAYAD YHEEN SE USSE APNE PRASNO KA UTTAR BHI MIL JATA HAI...........


MACHNE DO SHOOR
ITNA KI KHUD KI AAWAAZ BHI 
NA SUNAAE DE,
PHIR DEKHOO 
KYA SUNAAE DETI HAI ,
VO  AAWAAZ JO,
KABHI SUNI NHI MAINE.

MUJHE PARKHNA HAI,
KHUD KO 
APNI TPSYA KO.

HO JANE DO SNNAATA
ITNA GEHRA,
ITNA TIVRE KI,
SAMUNDER BHI GHABRA JAYE.
PHIR DEKHO 
KYA SUNAAE DETA HAI ,
VO MAUN
JO MEHSOOS NHI KIYA KABHI.

MUJHE PARKHNA HAI,
KHUD KO 
APNE TYAAG KO.

MUJHE DHOONDHNI HAI,
VO KAMI.
MUJHE DOONDHANI HAI,
VO CHOOK.
JISNE DOOR KAR DIYA MUJHE
MERE PREM SE,
MERE JEEVAN UPHAR SE.

DOOB JANE DO MUJHE
DUNIYA KE SARE RASO MEIN
ITNA GEHRE KI ,PHIR
LAUT KE AANA SAKOO.
PHIR DEKHOON KYA 
DIKHAEE DETI HAI 
MUJHE USKE AANKHO KI GEHRAAE
JINKE RANG BHI NHI
MALOOM MUJHE.

MUJHE PARKHNA HAI 
KHUD KO 
MUJHE DOONDHNA HAI 
US BHOOL KO
JISNE DOOR KAR DIYA ,MUJHE
MERE PREM SE ,
MERE JEEVAN UPHAR SE.

DOOR HO JANE DO 
HAR KHUSI ,
TOOT JANE DO 
DUKHO KA PHAAD,
MIIT JANE DO 
HAR ASHA.
CHA JANE DO NIRASHA.
MIT JANE JEEVAN MOH.
PHIR DEKHO KYA
DIKHTI VO KHUSI KI ABHA,
JISKO DEKHA NAHI KABHI.

MUJHE PARAKNA HAI 
MAN KE ANDHERO KO,
JISME JALTI HAI 
PREM JOTE, 
BIN TEL
BIN BATTI.

KRNE DO MUJHE SARE PAAP,
TOOT JANE DO SARE BANDHAN ,
BHANG HO JANE DO SAREE MARYADA.
PHIR DEKHO KYA 
KOI DOOR 
PHIR BHI KICHTI HAI,
JO BANDHI NHI KABHI. 
KYA KOI RISTA ROKTA HAI,
JO BNA NHI KABHI.

MUJHE PARKHNA HAI
PRABHO PREMI KE SAMBANDH KO,
MUJHE PUCHNA HAI,
BAS EK PRASHNA ,
KYOUN NHI MILA MUJHE ,
MERA PREM,
MERA JEEVAN UPHAR.

Monday 21 May 2012

AAKIRI PADAAV....

KITNA BHI BHAG LE YE MAN, KITNI BHI DOOB JAYE YE  DUNIYA  JIMMEDARIO MEIN PAR SABKO US AAKHIRI PADAAV PE SAB CHODNA HI PADTA HAI AUR IS AAKHIRI SAFAR MEIN JO LOG SATH CHALTEIN HAIN US PARMATMA VILEEN JYOTI KE LIYE, UNHE EK HI PAL MEIN IS SANSAR KE SABHI RASO KE DARSHAN HO JATEIN HAI.....

IN PANKTIYO  KO PADTE SAMAY AGAR HUM US DRISYA KO APNI MAN KI ANKO SE DEKHNE KA PRAYAS KREINGE TO SAYAD HUM US AAKIRI SAFAR KE SATHI BNE BGAIR USKA ANUBHAV KR SAKENGE.....


TEJ DHOOP THI ,CHIL-CHILATI,
HAR TARAF SHOR-SHOR.
GAADIO KI CHIL-PO
HAR TARAF BHAGAM-BHAG.
CHAI KI BHATTHIO SE UTHTA DHUA,
DHAM GHOTU.
PASINE SE LATH-PATH SAREER,
BHADDE KAPDE, HEEN AKANSHAYEIN.
ADHUMIKTA KI DHEN.

KHA AA GAYE HAIN HUM.

SOCH RHA THA MAIN,
KHADE -KHADE, EK PED KE NICHE BUS STAND PE.

KI TABHI 
KUHU-KUHU, KUHU-KUHU....
KOYAL BOLI AAM KE PED SE

SEHNAAE AUR DHOL KI AAVAJ BHI AANE LAGI,
KISI KI SHADI THI SAYAD,
GHODE PE DHULA BAITA THA
AUR  KISI CAR MEIN DULHEN.
TABHI BADAL GHIR AAYE
BARISH HONE LAGI.
AISA LGA JAISE ,
SAB DHUL GYA HO.
SARE BARATI CHUP GAYE.

USSI PED KE NICCHE-----

RAM NAAM SATYA HAI ,
RAM NAAM SATYA HAI,

JEEVAN KA AAKHIRI AUR ,
EK-MATRA STAYA 
EK -MATRA ISTHIR PADAV.

SAB SUN RHE THE 
MAI BHI.
MUJHE LGA JAISE ,
HUM LAUT AAYE. 

NAYEE SURUVAAT

HUM APNE JEEVAN KAI LAKSHYA NIRDHARIT KRTE HAIN HAR BAAR TO SAFLTA NHI MILTI PAR JAB BHI MILTI HAI TO HUM PHIR EK AUR NYA LAKSHYA NIRDHARIT KR LETE HAIN AUR JEEVAN ISI TARAH CHALTA HAIN HAR BAAR KISI LAKSHYA KO PURA KRNE MEIN HUME KAI ANUBHAV HOTE HAIN PAR HAR NAYE LAKSHYA KE LIYE HUM NAYE HOTE HAIN US LAKSHYA TAK PAHUCNE KE RASTE HUME NHI PTA HOTEIN , PAR PURANE ANUBHAV KAAM ATEIN HAIN KUCH AISE PARISTHITHI KE BARE MEIN HAI YE KAVITA....................

AAJ MAINE AKASH KO 
UPAR DHAKEL DIYA HAI.
APNE LAKSHYA KO 
AUR BDA KR DIYA HAI,
AB BADH GAI HAI
DOORI,
APNE DAINO KO FHAILA KE
SAARE ARJIT ANUBHAVO KO
SAMET KR, FHIR SE
UDNA SIKH RHA HOON.

HAI PEHLE SE JYADA 

SAKTI AUR SAHAS 
AUR UMMANG MUJHMEIN.
HAI NISCHAY KA BAL 
AUR KHUSSI KI TARANG MUJHMEIN,
TAP CHUKA HOON ITNA 
KI SOORAJ KI HAR KIRAN KO
ALAG ALAG PEHCHANTA HOON.

PAR PATA HAI MUJHE 

HAR LAKSHAY ALAG HAI,
HAR LAKSHYA KI TARAH
ISKI BHI ALAG LALAK HAI,
BHATKAYE KA YE BHI MUJHE,
PARKHEGA APNI TARAH.

ISILIYE ANJAN HOON ,

IS BAAR BHI RASTOON SE,
EK BAAR FHIR SE 
MAI SHISHU BAN GYA HOON.

Sunday 20 May 2012

NYA DAUR.....

"HUMMARE POLITICIANS IS DESH KO BECH RHE HAIN" YE AJJKAL HAR PADE LIKHE ,ANPAD ,AMIR ,GARIB BACCHE ,BUDE SABKI JUBAN PE HAI......GAUR KRNE WALI BAAT YE HAI KI POLITICIANS GINTI KE HAIN AUR IS DESH KI BAKI ABADI ROJ BAD RHI HAI AGAR YE ABADI JO KI POLITICS NHI KRTI SAFF PAK HAI DESH BAKHT HAI TO PHIR KAISE KUCH GINTI KE LOG "DESH BECH" SAKTE HAIN , AGAR GAUR KREIN TO SACHAE SAYAD KUCH AISI HAI KI YHA SAB ZAMINDAR HAIN SABKO APNI ZAMINO KI PADI HAI LALACH BHRA HAI SABKE MAN MEIN HAAN KEHNE KE LIYE TO DESH BAKHTI IS KADAR BHARI HAI KI AGAR KOI HUMARI DESHBAKTI PAR SWAAL UTTHAE TO SAYAD DANGE HO JAYEIN PAR SAACHE ISKE ULAT HAI...........




KYA DESH ,KYA MULK,
KHA KURBANIA AB WO RHI HAIN,
KHA KOI DESHBAKT 
JWANIA AB RHI HAIN,
MIT JAAE WATAN PE JO,
VO KHANIYA AB NHI HAIN.


MULK MEIN DEEWAR , AUR
BAS DEEWARO KA MULK BAKHI HAI,
BIGHO BISSO MEIN JAZBAAT BAS BAKI HAI.

SARHDO KO PATNE CHLA THA ,
"YE DAUR"
ISKI MAUKA PARASTI MEIN,
SARHADO KA NA KOI BAKI HAI.

KYA SUTI, KYA KHADI,
KYA POSAKH, KYA KHAKI.
IN NAYE DAUR KE SIPAHIYO KO
BAATNA MUSKIL HAI.
NAAM KE YE LIBAS HAIN,
AUR BAS LIBASO KE NAAM BAKI HAIN.

TATOLTA HAI KOI MULK TO,
SIKKO KI BAS JUBAN HAI.
HAR LAFZ MEIN INKI YE MULK BAS
EK DUKAN HAI.

KYA GARIB , KYA AMIR 
SAB YHAAN ZAMINDAAR HAIN,
HATHELIYO PE INKE
SAIKDO KATLOON  KE 
HAZARON NISHAN HAIN.




SAGAR KI KAHANI.....

KAI BAAR AISA HOTA HAI KI BHAGWAN HUME PARKHNE KE LIYE KUCH AISE UPHAAR DETA HAI JISKI HUME UMMED BHI NHI HOTI , AUR HUM IS ABHIMAN MEIN KI AB HUMSE JAYADA BHAGYSHALI AUR BHAGWAN KA PRIY KOI NHI HAI, HUM US UPHAR KO VYARTH AUR ANOOPAYOGI SAMJHNE LAGTE HAI AUR ABHIMAN MEIN AAKAR USKA MAHETVA BHOOL JAATE HAIN AUR FIR AAKHIR MEIN HAMARE PASS PACHTANE KE ALAWA KUCH  BAKI NHI REHTA..........AISE HI UPHAR AUR ABHIAMN KI KHANI HAI YE...........



BARASAT HO RHI  HAI ,AUR
SGAR UDAS HAI, AB 
NHI AATI KOI MEHBOOBA NDI(RIVER)
MILNE.

YHI VO DIN THE JAB,
MILE THE DO DIL ,UFFANTE ,
GARAJTE BAADLO KE MAUSAM MEIN,
AAE THI MEHBOOBA NDI,
LEHRO MEIN SAMATE ANJAN 
PREMI KE LIYE MEHKATI 
SAUGATEIN.

UMMANGO SE BHARI NDI KO
BHA GYA THA SAGAR KA KHARA PAN,
AUR KHO GAYI VO,
SAGAR KE GEHRE PREM MEIN,
BHAR DIYA SAGAR KO PHADO SE LAAE 
KHOOBSOORTI AUR KHUSBOO SE.

SAGAR BHI NDI KE PREM MEIN,
BEKAABO HO GYA,
APNI LEHRO SE CHUNE LGA CHAND KO 
AUR SAMETNE LGA DHARTI KO.
PHIR,
EK DIN,
HO GYA ITNA VISHAL KI ,
BHOOL GYA NADI KE PREM KO,
IS ABHIMAN MEIN.

APNA SARVASV SMARAPIT KR CHUKI NDI
UDAS HO
GAYI
ROTE ROTE USKE AANSOO SUKH GAYE
AUR USKI LEHRE
SAANT HO GAYI.

FHIR,
EK DIN,
JAB BADAL CHUP THE ,AUR
DHOOP TEJ
NDI LAUT GAYI 
APNE DESH.

AB SAGAR
AKELA REHTA HAI,
SIMAT KE APNE DAYRE MEIN.
USE BHI EHSAS HAI APNI BEROOKHI KA .
ISILIYE SAANT LEHRO KE SATH
INTEZAAR KRTA HAI MEHBOOBA
NDI KA.........

Saturday 19 May 2012

SAMAY KA SANDESH.....

BHOOT BAAR AISA HOTA HAI KI HUM MUSIBATO SE GHIRE HOTE HAIN AUR HUME RASTE NHI MILTE ISKA EK KARAN YE BHI HOTA HAI KI HUME AADAT NHI HOTI MUSIBATO SE LADNE KI KYOUN KI HAR BAAR HUME KISI NA KISI KA SHAARA MIL JATA HAI AUR JAB HUME KISI KA SHAARA NHI MILTA HAI TO YE SAMAJHNA CAHIYE KI  AB HAMARI BARI HAI DOOSRE KE LIYE LADNE KI DOOSRO KO RASTA  DIKHANE KI KUCH ISI TARAH KE VEECHAR IS KAVITA MEIN HAIN...............




MIL GYA VANVAS AGAR TO ,
RAM BANKAR DIKHA,
LAKSHA GRIH ME TAP KAR,
KHUD KO SONA BANA.


MILTA HAI JITNA BHI DHUK,
SANTAP AUR VIYOG,
YE SAB HAIN TUJHE MAHAN BANANE KE SANYOG,
BAS INKO BHI TU HARSH,
VIJAY AUR PREM KI TARAH GALE  LGA.


BUJH GAYE DEEPAK AGAR,
HO GAYE ANDHERA GHNA,
TO BAND KARLE AANKH BHI,
AUR MAN KE DEEPAK JLA.


BHOOT SUNA , PADHA,GAYA,
VIRO KI GATHA SDA,
AB SASTRA UTHA AUR ,
VEER BAN KE DIKHA.


KHOOB MILA HAI SAHARA TUJHE 
AUR MILI DYA SDA,
AB BARI HAI TERI ,
DAUD KE AAGE AA.


CHAYA BAN DOOKH HAR ,
SIKH VRICHO SE ZRA,
CAHE KITNI BAR BHI RAAT HO,
SOORAJ KI TARAH BAR- BAR UG K DIKHA.
LGA LE GALE SABKO
JOSH SE BHAR DE HAR JAGAH,
AB TU HI TU HAI HAR TARAF,
AASMA KI TARAH CHA K DIKHA.