Sunday 20 May 2012

SAGAR KI KAHANI.....

KAI BAAR AISA HOTA HAI KI BHAGWAN HUME PARKHNE KE LIYE KUCH AISE UPHAAR DETA HAI JISKI HUME UMMED BHI NHI HOTI , AUR HUM IS ABHIMAN MEIN KI AB HUMSE JAYADA BHAGYSHALI AUR BHAGWAN KA PRIY KOI NHI HAI, HUM US UPHAR KO VYARTH AUR ANOOPAYOGI SAMJHNE LAGTE HAI AUR ABHIMAN MEIN AAKAR USKA MAHETVA BHOOL JAATE HAIN AUR FIR AAKHIR MEIN HAMARE PASS PACHTANE KE ALAWA KUCH  BAKI NHI REHTA..........AISE HI UPHAR AUR ABHIAMN KI KHANI HAI YE...........



BARASAT HO RHI  HAI ,AUR
SGAR UDAS HAI, AB 
NHI AATI KOI MEHBOOBA NDI(RIVER)
MILNE.

YHI VO DIN THE JAB,
MILE THE DO DIL ,UFFANTE ,
GARAJTE BAADLO KE MAUSAM MEIN,
AAE THI MEHBOOBA NDI,
LEHRO MEIN SAMATE ANJAN 
PREMI KE LIYE MEHKATI 
SAUGATEIN.

UMMANGO SE BHARI NDI KO
BHA GYA THA SAGAR KA KHARA PAN,
AUR KHO GAYI VO,
SAGAR KE GEHRE PREM MEIN,
BHAR DIYA SAGAR KO PHADO SE LAAE 
KHOOBSOORTI AUR KHUSBOO SE.

SAGAR BHI NDI KE PREM MEIN,
BEKAABO HO GYA,
APNI LEHRO SE CHUNE LGA CHAND KO 
AUR SAMETNE LGA DHARTI KO.
PHIR,
EK DIN,
HO GYA ITNA VISHAL KI ,
BHOOL GYA NADI KE PREM KO,
IS ABHIMAN MEIN.

APNA SARVASV SMARAPIT KR CHUKI NDI
UDAS HO
GAYI
ROTE ROTE USKE AANSOO SUKH GAYE
AUR USKI LEHRE
SAANT HO GAYI.

FHIR,
EK DIN,
JAB BADAL CHUP THE ,AUR
DHOOP TEJ
NDI LAUT GAYI 
APNE DESH.

AB SAGAR
AKELA REHTA HAI,
SIMAT KE APNE DAYRE MEIN.
USE BHI EHSAS HAI APNI BEROOKHI KA .
ISILIYE SAANT LEHRO KE SATH
INTEZAAR KRTA HAI MEHBOOBA
NDI KA.........

4 comments: